Silsilein nahi hain in gustakhion mein
Yeh to nazar ka taqaaza hain
Husn ko saraahana in ka dastoor hain
Kya karoon yeh aankhe majboor hain
Na lihaaz kiya mauke ki nazakat ka
Na gaur kiya us shaffaq badan ko
Kho gaye un aankhon mein
Jis mein inhone jahan dekha
Shayad main ne nafrat dekhi
Shayad mein ne bebasi dekhi
Shayad mein ne jhijhak dekhi
Shayad mein ne be inteha mohabbat dekhi
Kya mein ne zulm dekhe?
Kya mein zaroorat dekhi?
Kya mein ne jhoote waden dekhe?
Ya in mein masoomiyat dekhi?
Kyon in mein aapni chahat talash ta hoon
Kyon inhein mein apna wajood talsha ta hoon
Bezubaan ye nahi
Ghazal inhi se hain
Aashiqui hi nahi
Dewaangi bhi in se hain
Nigahen milte hi waqt tham sa jata hai
Palak jhapakte hi waqt badal jata hai
Khwahishen badhti jati hain
Aashquon ne khushiyan barsaayee hain
Soormai ki tarah in mein din dhal jata hai
In mein hi kal ka ek khawab sajta hai
Zamane ne ki inki shikayat
Badnam ki yeh shaqsiyat
Jin nigahon pe fida hongi meri nazarein
Wahi kalam hongi meri mohabbatein
Tab tak majboor hain talash main
Nadan hain yeh nazarein
Dil ki zuban hain yeh nazarein
Sent on my BlackBerry® from Vodafone
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment