"Kanoon andha hota hai
Sazaa mujrim ko deta hai
Pyar bhi andha hota hai
Sazaa masoom ko deta hai"
Aaj fir nazaren milaya khada hoon
Mujrim karar diya jaoonga
Apni pairvi khud karoonga
Apni sazaa khud tay karoonga
Jab maykhana faisale sunaye
Aur saqi tehqiqat kare
Masoom to mujrim hi theherega
Fir wohi sazaa payega
Jitna lootaya utna hi badhte gaya
Fasaano ka caravan ban ta gaya
Ab shayad yaad nahi
Wafa pehle jaisi rahi bhi ya nahi
Fir taanunga deewaren quaid ki
Fir baazi lagaoonga zindagi ki
Fir jurm karne pe majboor rahoonga
Fir khata karoonga
Mujrim fir faraar hua
Fir se mohabbat, fir se iqraar kiya
Soone aasman main fir taare tooten
Mujrim na jane kaise masoom tha
Chahat to akhir masoom ko qatil ki thi
Qatil to apni hi kisi baat pe roya hoga
Main to sazaa-e-zindagi ke saath muskurana sikha.
Sent on my BlackBerry® from Vodafone
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment